Sunday, October 08, 2006

SHAYARIs

Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain.



Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.



Daulat Aur Sohrat sabke Pas Hai,
Khushiya Aur Ghum Sabke Naseeb Mein Hai,
Pyar Aur Nafrat Sabke Dil Mein Hai,
Par Khush-naseeb Hai Hum kyonki Tum Jaisa Dost Hamare Pas hai.




Aansuon ko bahut samjhaya ke yun na aya karo, mehfil mein hamara mazaak na udaya karo, is par aansu bole mehfil mein tumhe akela paate hain isliye chale aate hain.


Log kahtey hain ki Pyar zindagi hain maut nahi,
Magar voh kya jane ki dhoka bhi zindagi deti hai maut nahi.


Ankho me aansuo ko ubhar ne na diya,
Mitti ke motiyo ko bikhar ne na diya,
Jis raah pe pade the tere kadamo ke nishan,
Us raah se kisi ko gujar ne na diya.


Ab umar ho gayi hai dil ki kitaab mein, kuch khusk paton ke siva kuch nahin raha,
Zazbaat tamaam kho gaye lamhon ki dhool mein, ab dil mein dharkanon ke siva kuch nahi raha.

  • Ab is had tak le aya hai intzaar mujhe .....
    Woh aa be jaye toh aaye na aeitbaar mujhe.....


© Centre Of Discovery

0 Comments:

Post a Comment

<< Home